Google Adsense Payment Pending Problem Fix Kaise kare

होमगूगल ऐडसेंसGoogle Adsense Payment Pending Problem Fix Kaise kare

Adsense Payment Pending Problem Fix Kaise kare

Hello friends aj is post me “adsense payment problem fix kaise karte hai” iske bare me full details me bata raha hu.

Adsense Payment, Adsense Payment Pending, Payment Pending Problem, payment Pending Problem Fix

Bloggers or Youtubers ko apni first “adsense” “payment” ka badi hi besabri se intzar hota hai or rahe bhi kyu nahi itni mehnat se jo earning karte hai or jab adsense me 100$ ho jate hai to hamari khusi ka thikana nahi hota hai kyonki hame pata hota hai ki ab hamare account me 100$ ho gaye hai or ab google adsense se  hame payment milega.

Google adsense me 100$ complete ho jane ke bad google adsense hame payment hamare bank account me send kar deta hai or jab hamari registered mail id me mail aata hai check your recent payment to hamari khusi ka thikana hi nahi hota hai or ham sabse pehle to apna google account check karte hai ki kitni payment bheji gayi hai or uske bad turant hi ham apna bank account check karte hai mobile banking ya net banking se ki kya hamari adsense payment hamare account me aagayi hai ya nahi.

10 Online Transaction Safety Tips हिंदी में/Best Online Safety Tips

Google adsense se jab hame payment send ka mail aata hai to mail me kuchh yesa likha hota hai “We sent a payment for your Google AdSense earnings on Dec 21, 2018.
If you haven’t received your payment within 5 business days from the date of this email, please contact your bank for more details.
To check your recent payment” to ham mail  read (padh) ke ham samjh  jate hai ki 5-6 din me payment hamare bank account me aajayegi.

Adsense se payment mail milte hi ham samjh jate hai ki 4-6 din me adsense payment hamare account me aajyegi parantu yadi ham new bloggers hai or payment first time aa rahi ho to yese me thodi problem ho jati hai or ham bahut kuchh sochne lagte hai ki payment ayegi ya nahi kahi to nahi chali jayegi ye sab or sochna bhi chahiye kyunki mehnat ka jo paisa hota hai ham use yese hi kahi or jane nahi de sakte hai.

Email Signature क्या है / Professional Email Signature कैसे बनाएं

Adsense se payment lene ke liye hame swift code ki jarurat hoti hai or yese me problem ye hoti hai kuchh city ke bank ke pass swift code hi nahi hota hai to problem yahi se suru hoti hai ki hamare city me swift code nahi hota jab adsense payment bhejta hai or hamare account me paise nahi aate hai to ham bank me contact karte hai pare use koi fayda hota nahi hai kyunki ham koi or branch ka swift code diye hote hai to yadi ap bhi koi or branch ka swift code add kiye hai to ap bhi swift code branch se contact kare baha apko sahi or full information mil jayegi.

Adsense payment pending problem ko solve karne ke liye mene kuchh steps taiyar kiya hu yadi ap bhi un steps ko follow karenge to ummid hai ki apki payment bhi apke bank account me aajayegi to chaliye dosto suru karte hai or jante hai ki vo konsi steps hai jo apko karna hai.

Google Adsense payment account me na aane par kya kare –

Adsense payment account me na aane par ya kahi par payment hold ho jane par aage bataye gaye steps ko try kareto chaliye suru karte hai or jante hai aakhir karna kya hoga. http://google.com/adsense

Step 1 –

Adsense se payment mail aane ke bad apko 5 se 6 Days (din) ka wait karna hoga kyonki kabhi kabhi chhutii hone ke karan payment delay ho jati hai ya bich me Sunday aajane ke karan bhi delay ho jati hai.

Step 2 –

5-6 din me bhi payment bank account me na aane par ab ap swift code branch se contact kare.

Step 3 –

Swift code branch apni city me na hone par ap internet se swift code branch se us branch ka phone number nikale ho sake to forex department ka number nikale.

Step 4 –

Contact number nikalne ke bad ab ap swift code branch me call kare yadi apne forax officer ko call nahi kiye hai to unko bole mujhe forex officer se bat karni  hai please ap unse bat kara dijiye.

Yadi apne forex department ko hi call kiye hai to ap unse bole hello sir good morning ya good afternoon ya good evening jis bhi time ap call kare us hisab se bole, sir mera google adsense ka payment 21 date ko bheja gaya hai par ab tak mere account me nahi aaya hai please ap bataye ki payment mere account me kyu nahi aaya hai.

बिना बैंक जाये Internet Banking Register कैसे करें/ ATM से Internet Banking Registration

Ho sakta hai bank officer apse kuchh questions puchh sakte hai jese ki (apka name, apki branch ka name, apka account number, payment kisne bheja hai, kya karte ho, apko payment kyu bheji gayi hai, kya apke pas payment ki koi copy ya number hai) apse ye sab puchh sakte hai ab apko sabhi questions ka sahi sahi ans dena hai ya apko ye sab details mail karne ko bhi keh sakte hai to ap mail kar dena.

Ab bank officer apki payment ki details apne record me check karenge yadi apki payment unke pas aagayi hogi to apko bata denge ki apki payment hamare pas hai or hold hai to vo apko bata denge ki apki payment kyu hold hai.

Step 5 –

Jab bank officer apko payment hold ka karan bata denge to apko pata chal jayega ki kis karan se apki payment hold me hai ab ap us problem ko dur kar sakte hai, bank officer payment hold hone ke kuchh is type ke karan bata sakte hai  (apko currency exchange ke liye ek form fill karna padega, apke account me KYC complete nahi hai, apke bank account me pan card link nahi hai) kuchh is type ke karan bata sakte hai payment hold hone ke.

Currency exchange form fill up karne ko bolne par –

yadi apki payment currency exchange form fill up na hone ke karan hold hai to apko bank officer se bolna hai ki please mujhe vo form mail kar dijiye or sath hi us form ko mera account bali branch me bhi send kar dijiye, form mil jane par ap us form ko fill up karke return mail kar dijiye ya fir form ko le kar apni branch jaye or swift code bali branch me mail karne ko kahe.

Apke account me KYC complete nahi hai bolne par –

yadi apke bank account me kyc complete nahi hai to ap sabse pehle apne bank me jaye or unse kahe ki mere bank account me kyc complete kar dijiye, or apne account me kyc complete kare.

Apke bank account me pan card link nahi hai bolne par –

yadi apko bola jaye ki apke bank account me pan card link nahi hai is liye apki payment hold hai to ap sabse pehle apne bank jaye or apne account number par pan card link karaye.

Step 6 –

Apki payment hold kyu hai iska pata lagne ke bad ap turant us problem ko fix kare or 2 se 3 din (days) ka wait kare ummid hai ki apke bank account me apki adsense payment add ho jayegi.

Is type se ham hamari adsense payment hold kyu hai iska pata laga sakte hai or payment hold hone ka karan pata ho jane par jald se jald us problem ko fix kare or apni payment ko apne bank account me le lain ummid karta hu apko is post se jarur kuchh na kuchh new sikhne ko jarur mila hoga yadi apko post achhi lagi to post ko facebook or whatsapp me apne dosto se share jarur karna taki jada se jada logo tak ye information pahuch sake.

Facebook में Tag Post को Hide कैसे करें / How to Hide All Tag Post

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye apki adsense payment apne bank account me lene me to ap comments karna me apko better se better suggestion dene ki puri kosis karunga or yadi apko is post se related kuchh puchhna ho to ap comments kar ke puchh sakte hai me apki comment ka reply jarur dunga, milte hai next post me tab tak ke liye bye…

 

Recent Articles

Related Stories

Leave A Reply

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें

17 − four =